Quran 3 Firqa Tarjama
About Course
Hudallinnas ka matlab hai ke Qur’an tamam insaaniyat ke liye hidayat ban kar aaya hai. Lekin agar hum Qur’an ko samajhe hi nahi, to hidayat hasil kaise hogi?
Is course me humne Qur’an ko behtareen taur par samajhne ke liye teenon firqon ke tarjume ek saath, aasaan zubaan me aur daleel ke saath samjhaye hain. Video lessons me aapko har aayat ke mukhtalif tarjume dikhaye jayenge, taake aap khud Qur’an ko gahrayi se samajh saken.
Hamari koshish yeh hai ke aap Qur’an ko samajh kar us par amal karein, aur kisi bhi firqe ke chakkar me na padhein. Kyunke Jannat firqe ke naam se nahi milegi, balki Hashr ke din ek nek aur saleh giroh ko Jannat naseeb hogi — chahe wo insaan kisi bhi firqe me paida hua ho. Bas 10 Cheezo par dheyan dena hai aur wo 10 cheez course me bataya gya hai.
Is course ka maqsad sirf yeh hai ke aap Qur’an ko apne liye hidayat banayen aur Haq-o-Batil ko pahchan ka apni zindagi ko iske roshan usoolon ke mutabiq guzar saken. Kiu ki Surah Ayat No. me aaya hai ki Yahudiyo ne Allah ko chhod kar apne Aalimo ko hi Sab kuchh manne lage es liye Sab Kafir ho gye aur Kafi Ke liye Jahannam hai.
Course Content
Quran 3 Firqa Tarjama ll Dekhe, Samjhe, Phir Apne Aqal Se Sahi Galat Ka Faisla Karne Ke Baad Amal Kare
-
Ruku No. 1 ll Para No. 1 ll Surah Baqrah ll Quran 3 Firqa Tarjama
20:23 -
Ruku No. 2 ll Para No. 1 ll Surah Baqrah ll Quran 3 Firqa Tarjama
23:44 -
Ruku No. 3 ll Para No. 1 ll Surah Baqrah ll Quran 3 Firqa Tarjama
12:51 -
Ruku No. 4 ll Para No. 1 ll Surah Baqrah ll Quran 3 Firqa Tarjama
25:51