Namaz Tarjama Ke Saath
About Course
Aaj bohot se log namaz ada karte hain, lekin aksar unka zehan namaz ke dauran idhar-udhar bhatakta rehta hai. Is bhatakao ka bunyadi sabab yeh hai ke hum jo alfaaz namaz mein padhte hain, unka matlab nahi samajhte. Jab samajh nahi hota to dil aur dimagh dono namaz mein hazir nahi rehte.
Is course mein paanchon waqt ki namaz ka poora aur sahih tarjuma pesh kiya gaya hai — niyyat se le kar salaam tak. Har dua, har surah aur har kalima ka matlab asaan zuban mein samjhaya gaya hai, taake namaz ada karte waqt banday ko yeh ehsaas rahe ke woh Allah se kya guftagu kar raha hai.
Jab namaz samajh mein aati hai, to namaz sirf ek amal nahi rehti, balki Allah se rabt ka zariya ban jaati hai. Is course ka maqsad yahi hai ke log namaz ko samajh kar ada karein, taake unka Allah se talluq mazboot ho aur ibadat mein khushu aur huzoor paida ho.
Course Content
Namaz Tarjama Ke Saath
-
Namaz Aasaan Tarjama Ke Saath
00:00 -
8 Surah Aur Dua-e-Qunoot Ka Aasaan Tarjama
00:00 -
Kya Aap Bhi En Parishaniyo Me Mubtala Hain ?
00:00